Himmat Se Hote He Faisle
Choti-si safalta pate hi ruk gaye, socha 'Jo mila thik he' jabki aapme aur aage badne ka hosla to bahut he to uska use karo.
Moka na Jane do. Mood pado us maidan me aur tyyar ho jao nai manzil pane ko. Phir dekho aapke sapno ki udaan aapme kaisa magic paida karti he. Insaan ki sabse badi taakat uske hi andar chupi hui hoti he aur uska aatm visvaas bhi. jaise aakas annant he vaise hi sapno ki dunia bhi annant he. Is aakas me apni ikchao ko udaan bharne do. Isse aapko lagega ki aapka jivan waist nahi gaya balki use kuch success mili. yaad rakhiye, asafal vyakti ko koi nahi poochta aur safal vyakti ko
sabhi pasand karte he.
Thoda risk bhi Zaroori
Agar aap apni alag pehchan banana chahte he to thoda risk to Lena hi padega aur apne chune hue kaam me aapko poori lagan se usme kaam bhi karna padega. uske liye aap jaroori qualifications ko khud me develop kare. Jaha jaroorat ho waha khud ko Aaj ki situations me bhi dhalna seekhe. dusro ki kahi hui acchi buri baato se dare nahi. Balki saant rehkar un baato se sekhe aur unko hi apna dhal banaye aur tabhi aap kamyabi pa sakte he. Agar aap sapna dekh sakte he to use poor a karne ki taakat bhi aap hi ke andar he.
Competition pehle bhi raha he aur Aaj bhi he. Ha itna jaroor he ki pehle ki ki apekcha aaj jyada hard ho gaya he. Is situation me parents aksar ghbra jate he. Natiza yeh hota he ki baccha jis line me apna career dekh raha hota he use uski difficulties ka hawala dekar use rokne ka prayas kia jata he. Aisa nahi hona chahiye. Ab to ye bhi dekhne me aata he ki kai bacche Jo ki Hindi medium ke hote he aur English medium Ka exam cross kar lete he.
Parents Ka pressure
Ek chota baccha jisne abhi khud ko poori tarah se Jana bhi nahi tha ki uske parents usse ye ummid lagate he ki unka beta ya beti Doctor bnega, Actor bnega, ya Engineer banega wagerah-2 aur yeh janna bhi uchit nahi samjha ki uska interest kisme he. natiza yeh hota he ki bacche par jabardasti apni ikchaye thop do jati he. Aisi situation
me baccha heenbhavna Ka shikar ho jata he. Sachin tendulkar ke parents ne kabhi bhi nahi socha hoga ki unka beta world Ka best cricketer hoga, itne sare awards hasil karega but Sachin Ka sapna
cricket hi tha aur unhone apni manzil pa li. So hum keh sakte he ki sapne chahe jitne bhi bade ho, unhe udaan isi prakar milti he.
Social Plugin