Ad Code

Robotics Me Career Kese Banaye Poori Jankari

ROBOTICS me career
Aaj  bahut si fields me day by day Roboto ki demands increase ho rahi he, use dekhte hue hum keh sakte he ki Robotics me ek saandar aur chamkdar career ban sakta he. Aaj hum robotics ke bare me aapko details me jankari se rahe he...."
Dunia ke kai deso me robot, life aur business Ka important part banta Ka raha he. Robot ke jariye jaha ek aor saririk parisram kam hua he to wahi dimagi kamo me bhi robot ne insaan ko peeche kar diya he. Japan ki soft bank corp jaisi company mind se kaam lene wale robots ko bna rahi he. Ye Robots Engineer, Doctor, Senik, Professor, Accountent, Salesman aadi kai tarah ke kary ko karta he. Agar hum India ki baat kare to yaha wahan udhyog me
Robots ki sankhya Sabse jyada he. So is prakar hum keh sakte he
ki aane wala time me robots ki sankhya badegi aur jiski wajah se isme career ki sambhabnai bhi jyada bad jati he. Aaiye hum Robotics ke bare me aur jyada jankari hasil kare.


Robotics kya Hai aur Isme Career Kese Banaye
Robotics engineering ki weh sakha he jiske tehet robot ki Designing, unka Anurakchan, New Application Ka vikas aur Anusandhan jaise kaam involve kiye jate he. Robotics Engineering sakha me besic Engineering ke siddhant aur Robots ka vikas aur use karne ke liye takniki dakchta sikhai jati he.
Robotics ko normally 4 parts me divide kiya Ka sakta he business
Robot, Personal robot, Medical upyog ke liye robot aur Autonomous robot. Inme Sabse jyada use business robot Ka hota he. Jinka use Manufacturing ke liye kia jata he.


Robots ki Kyo he Aavsyakta
Atomic Thermal aur Nuclear Power stations par dangerous kaamo ko karne ke liye insaano ki jagah robots se kaam liya jata he. Ab Milatry Operations me bhi robots Ka use hone laga he. Robots Ka use Nuclear science, Electrical signals, c-exploration, Biomedical equipment ki designing aadi ke liye bhi kiya jata he. Robots Shely chikitsa karte he, Baroodi surango ko hatate he aur bomb ko
bhi niskriy karta he. is prakar hum keh sakte he ki Robotics me career ki apaar sambhabnai he.

Qualifications
Robotics me study karne ke liye aapke pass engineering ki degree hona bahut jaroori he. Is field me Electronics, Macenics aur computer science Kaise sahyogi chetro ki knowledge involve hoti he. Agar aap Robotics me designing aur control me visesagyta hasil karna chahte he to aapko Machenical ki degree hasil karna hogi. 12th class me aapke subject me Math aur Physics hona chahiye.
Robotics me career bnane wale students Sabse pehle computer IT,
Machenical, Mecetronics, Electronics ya Electrical Engineering me B.E. ya B.tech ki degree hasil kare.

Robotics Me Career Ke Kya he Options
Robotics engineering me speclization se Manufacturing, krashi khanan, Atomic Energy Kaise fields me career bna sakte he. kai badi companies acchi salary par Jobs offer kartI he. Videsh me bhi Robotics engineer ki bahut demand rehti he.


Important Training center
 *. Indian institute of technology (IIT) Mumbai, Delhi, Kanpur, Chennai,
 *. Indian institute of science, Banglore
 *. University of Hyderabad
 *. Birla Institute of Technology and Science, Pilany
 *. Centre for Development of Advance computaring, Mumbai/pine
 *. Kochin University of Science and Technology, kocchi
Reactions