Ad Code

Samay par Sahi faisla Kese Lete He

Samay par Sahi faisla

kamyabi ke liye Sahi Samay par Sahi decisions aur sath me good preparation yahi he career management ka formula, jo Hume humare goal tak le jata he.

School education ke baad college aur fir jobs ki talas. Rasta easy lagta he par kai baar tamam kosiso ke baad bhi good job nahi mil pati he aur agar job mil bhi jaye to kaam me man nahi lagta he kyoki hume wo kaam pasand nahi aata.

Career ko lekar is tarah ki problems bahut logo me hoti he sayad isi vajah se aise log apna career accha nahi bna pate aur fir shuru ho jata he sikayato ka silsila. Aise me jaroori he career ki Sahi planning. Jab Aap apne goal ko select kar lege to sahi direction me aage ho payege. Is tarah se career pane ka yeh safar easy ho sakta he. Sahi Samay par Sahi nirnay aur fir usi ke hisab se sahi preparation, isi skill ko kehte he Career Management. Career counselor bhi isi formule par jor dete he.


Ek acche career ke liye jaroori he ki aap Aap sabse pahle apna goal
decide kare. 10th class ke baad unhi subjects ko select kare jisme aapko interest ho aur 12th class ke baad Sabse pahle apne teachers aur parents ke margdarsan, apna interest aur qualifications ke anusar yeh decide kare ki aap kis field me apna career banana chahte ho. Aim ko decide karne ke baad yeh janne ki kosis kare ki future me us field me kya sambhabnai he ? Bade goal par jump marne ki jagah chote-2 goals ko decide kare.



Aap yeh samjhe ki career management ek pdaav nahi he balki poori yatra he. Goal ko decide karne ke baad bari aati he khud ko apne goal ke liye ready karne ki. apni khamio ko poora kare
aur qualifications ko aur nikharne ki kosis kare. Jis kisi bhi field me aap jana chahte ho to sabse pahle uski poori information hasil kare. us field se add peoples se baat kare aur aise logo ke baare me jyada se jyada read kare jo us field me success ho chuke he, isse aapko aur behtar karne ki knowledge hogi. Samay-samay par khud ko parkhna kabhi nahi bhulna chahiye, iske liye Aap practice sats ki help le sakte he. Isse aapko aapki qualitys ke bare me pta chalega aur weakness ke bare me bhi.
Reactions