Ad Code

Best he Media

Best is MEDIA
 Aaj hum sabhi types ki media ke bare me janege ki media kitne types ki he aur unme kya work hota he.
Aaj media ka field kafi tezi se bad raha he. Aaj media ke field me attractive salary, pratistha, lokpriyta, romanch aur sath me glamour bhi isme samil ho gaya he. aage details me jante he media ke types aur unme work kya he.

T.V. Journalism

 Jab se tv. par news channels start hue he tabse to mano dunia hi badal gayi. kai log to yaha tak kehte he ki agar news channels na hote to hum kai important news ko live naa dekh pate. Aaj t.v.
journalism me paisa bhi he, glamour bhi he aur sath hi sath maan samman bhi.

Agar aap t.v. journalism me apna career banana chahte he to aapme news ko understand karne ki ability honi chahiye. uske baad aapki personality acchi honi chahiye, aapko news represent karna aana chahiye. Aapme patience aur sahas hona chahiye.
 Aaj t.v. journalism ki wajah se hi sting operation start huaa. Ek t.v. journalism banne ke liye aapko local se start karna hoga. small channels me work karke aapko jo experience hoga wo experience aapke big channels me work karne me helpful hoga.

Print Journalism
kisi time me kaha jata tha ki journalism sikhai nahi jati, web to aapke andar se aati he, ab yeh baat sabit ho rahi he. Print journalism ko karne ke liye Aaj country me kai centre, universities available he, jinme aap degree ya diploma ka course kare sakte he. In courses ko karne ke liye aap me writing skills ka hona bahut jaroori he. jab aapko degree ya diploma mil jata he to kai universities me campus
selection hota he, jiske jariye aap big channels me work kar sakte he. kuch saalo pehle news papers me salary acchi nahi milti thi but ab situation bilkul different he. kai sampadko ki salary lakho me
hoti he aur upsampadko ki salary starting me 20-25 thousands hoti he.

Some training center :
*. Indian institute of Mass communication, New delhi
*. bhartiy vidya bhavan,Mumbai
*. Makhanlal chadurbedi journalism institute, Bhopal

Advertising field

 Aaj kai log aise he jo advertising ke through media me aate he. News paper aur t.v. channels me advertising ek free department he, jisme acchi jobs ki opportunity hamesa rehti he. Kai training center adv. me course karate he.

Photo Journalism
It is said that, ek acchi photo bina kuch kahe, sabkuch keg deti he. kai newspapers me photo journalist hote he Jo photography ka aur news cover karne ka work sath-2 karte he. so ek photo journalist
me 2 skills hote he. ek photo journalist ko namefame ke sath good salary bhi milti he. aap photo journalism me degree ya diploma kar
sakte he Jo ki desh ke kai sansthan karate he.

Public relations (PR)
kisi bhi vyakti sansthan ki chavi ko positive roop me represent
karna public relation me aata he. Agar aap me conversation ki aachi samajh he aur apni baat se dusro ko convince karna aata he aur aapko new peoples se milne me interest he to aapke liye PR ek better option he. PR me career bnane wale ko advertising agencies aur other companies me apni manpasand ki jobs mil sakti he.
Kai training center PR ke course ko karate he.

 Read Also  :
 *. Life ke impo. point jaane click kare
Reactions