E-COMMERCE ME Career Ki Kya Sambhawnaye Hai
Electronics sanchar madhyamo ke Jariye Mostly Electronic Data Interchange jaisi Paperless Information Prodyogiki ke through Occupation ko sanchalit karna hi E-Commerce kehlata he.
E- Commerce ya electronics Commerce se time ya doori ki badhao ke bager Business karne ka awsar prapt hota he. E-commerce ke through business ki laagat minimum hoti he. is wajah se E-Commerce Business ke liye sabse sasta marg he aur isse delivery time, hard work aur other laagato me kami hoti he. Is prakar E-Commerce market Ka ek Powerful Instrument he. Aaiye
E-Commerce ke baare me details se jante he.
Read also : e-commerce ko detail me janne ke liye click kare
E-COMMERCE ki Kyo Aawsyak Hai
Hamare India me e-commerce Ka chalan fastly grow ho raha he. Jiske chalte isme jobs ki apaar sambhabnai utpann ho jati he. India Develop country se abhi peeche he but E-Commerce ko bdane ke prayaso se aisa lagta he ki wo din door nahi jab hum bhi develop country ke equal hoge. E-Commerce ke through manufacturer,
Thok vikreta, distributer etc. insabhi ko kinara karte hue customer ko sidhe profit milega. Internet ke badte chalan aur E-Commerce ki badti websites ke through hum teji se aage bad rahe he. Personal Computer ki kam keemat aur Internet ke badte prayog aur internet
ki suvidha available karane wali companys day by day E-Commerceke development me kafi helpful sabit ho rahi he. Is prakar e-commerce me jobs ki sambhabnai bhi increase ho jati he.
E-COMMERCE ka Bad raha he Dayera
Isme koi sak nahi he ki world ki tarah India me bhi E-Commerce customers aur distributers ki soch ko change kar raha he. E-Commerce ke dwara badte rojgar jiski wajah se desh ki Economy teji se grow ho rahi he. desh me log Mobile ya Computer ke through ghar baithe apne manpasand saman ko kharid rahe he. Har din hazaro lakho me Len den ho raha he. E-Retail me sabae jyada savings isliye hoti he kyonki isme kisi showroom ki koi
jaroorat nahi he. Is prakar customers ghar baithe shopping karke har prakar ki problems se bach jata he.
E-COMMERCE Me Kaise Banaye Career
12th pass karne ke baad aap isme apna career bna sakte he. 12th pass students e-commerce me diploma, Web aur E-Commerce me Degree Business Administration in E-Commerce me degree etc. kar sakte he. besides this aap E-Commerce me P.G.. bhi kar sakte he jaise m.ba. in e-commerce, Master in e-commerce, Master of
Engineering in e-commerce, Master of science in e-commerce application, P.G. Diploma in e-commerce application, P.G. Diploma in Information Technology and Management in e-commerce,
advance diploma in web & E-Commerce technology, E-Commerce application programmer, E-Commerce visual
application developer etc. Iske alawa America ki help se ek unique e-commerce program karaya jata he. Jo students already M.e. M.ca., M.ba, M.com aur M.sc passed he wo isme apply kar sakte he.
Kaha he Sambhabnai
Advertising, education, online trading, Internet banking, Stocks Exchange, E-business etc. fields me jyadatar E-commerce Ka use ho raha he. Iske alawa National Camoditi Exchange, Mumbai share market aur National stocks exchange me e-commerce
students ki bahut demand rehti he. Hamari India me to e-commerce
ke development ke liye bahut jyada sambhabnai he aur aisa anuman he ki aane wale dino me e-commerce Ka tezi se vikas hoga. world market me e-commerce ke badte effect ko dekhte hue yeah kaha ja sakta he ki aane wala samay e-commerce Ka hi hoga. To isme ab koi sanka nahi he ki e-commerce me jobs ki demand bhari tadaat me hogi.
Read also : Motivation topic ko pade click kare
Some Important Training
Centers
*. Rajshri tondon mukt visvvidyalay, Allahabad, u.p.
*. Akhil bhartiy association, centre for Manegment education, New Delhi
*. Institute of professional studies & research, New Delhi
*. Guru govind sing indr prasth, New Delhi
*. Institute of manegment studies, Devi Ahilya University, Indor, M.p.
*. Jain institute of Manegment & research, Mumbai, m.h.
*. Kuruchetra University, kuruchetra
*. E-Commerce centre, anna university, Chennai
Social Plugin